Random Magazine

Kaise Bataon

By Alka Narula @narulaalka
Do you think I can write lyrics ??
kaise bataon
kaise baaton mujhe kuch hua hai , kaya un ko pata hai ,main un se pyaar karne lagi hoon........
aai hawa tum jub chalo toe , muj ko choo kar  jana , mere badan ki ,thodi si kushboo saath le janna......
un ko bataana mmain ek kali hoon , un ko main paa kar khil uthun gi....
un ko bataan jab woh meri gali se ,guzre the kal bhi , main chupke se peeche khadi thi ,un ki nazar se chup kar ,un ki aahat sun rahi thi...
kaise baatun mujhe kaya hua hai , kaya un ko pata hai main un se pyaar karne lagi hun....
aai hawa un se kehna ,main akele khari hoon , bus un ka intzaar kar rahi hoon..
un se yeh kehna jab woh chalen toe ,thodi si muskurahat lete aana.......
meri badan ki har taar pakad len ,mujhe apna samjh len.....
mere  liye bus itna tum kar do , mere lab choo kar bas itna samjh lo..main un se aab pyaar karne lagi hoon...
un ko paa ker main youn hi udhne lagoon gi ....
kaise baaton mujhe kuch hua hai ,kaya un ko pata hai ,main un se pyaar karne lagi hoon...
aai hawa tum jub chalo toe ,muj ko choo kar  jana ,mere badan ki ,thodi si kushboo saath le janna...
un ko bataana..hm hm hmm  hm hmm hm
jub se un ko dekha hai maine ,main fisal gayi hoon ,main pagal ho gayi hoon ,udtti pari ban gayi hoon....
 har taar mere badan ka un ko  choona  chahe ,awaaz bhi dun toe un ka hi naam  mere labon pe aaye..
yeh mujh ko kaya hua hai ,kaya un ko pata hai ,aai hawa tum ab chalo toe mere badan ki thodi kushboo le jaana ,un ko batana,un ke bina aab main na jee paun gi......
kaise baatoun mujhe kuch hua hai ,kaya un ko pata hai ,main un se pyaar karne lagi hoon ....
aai hawa tum jub chalo toe,mujh ko choo kar tum jana ,mere badan ki ,thodi si kushboo saath le janna....
un ko bataana....hmm hmmm hmmm hmmm
copy right (c)alka narula
phoyo credit green leap delhi
.

Back to Featured Articles on Logo Paperblog