Magazine

Cigarette-सिगरेट

Posted on the 10 February 2021 by Deepak Sharma
A very intense shayari by Rashid Malik

You may also Like

Tajmahal- Sahir Ludhianvi

Jo Utar ke Zeena-e-shaam se- Amjad Islam Amjad

Dukh Fasana Nahin ki tujhse Kahein- Faraz Ahmad Faraz

Main Cigarette Ko Hatheli Par
Ulat Kar Khaali Karta Hoon,
Phir Uss Mein Daal Kar
Yaadein Tumhari Khoob Malta Hoon,
Zaraa Sa Gham Milaata Hoon,
Hatheli Ko Ghumata Hoon,
Basa Kar Tujh Ko Saanson Mein,
Main Phir Cigarette Banata Hoon,
Laga Kar Apne Honthon Say
Mohabbat Say Jalaata Hoon,
Tujhe Sulgha Ke Cigarette Mein,
Main Tere Kash Lagaata Hoon,
Dhuwaan Jab Mere Honthon Say
Nikal Kar Raqs Karta Hai,
Mere Chaaron Taraf Kamrey Mein
Tera Akss Banta Hai,
Main Uss Say Baat Karta Hoon,
Woh Mujh Say Baat Karta Hai,
Yeh Lamha Baat Karne Ka
Bada Anmol Hota Hai,
Teri Yaadein, Teri Baatein
Bada Mahaul Hota Hai....!!
मैं सिगरेट  को  हथेली  पर 
 उलट  कर  खाली  करता  हूँ ,
 फिर  उस  में  डाल  कर 
 यादें  तुम्हारी  खूब  मलता  हूँ ,
 ज़रा  सा  ग़म  मिलाता  हूँ ,
 हथेली  को  घुमाता  हूँ ,
 बसा  कर  तुझ  को  साँसों  में ,
 मैं  फिर  सिगरेट  बनाता  हूँ ,
 लगा  कर  अपने  होंठों  से 
 मोहब्बत  से  जलाता  हूँ ,
 तुझे  सुलगा  के  सिगरेट  में ,
 मैं  तेरे  कश  लगाता  हूँ ,
 धुवां  जब  मेरे  होंठों  से 
 निकल  कर  रक़्स  करता  है ,
 मेरे  चारों  तरफ  कमरे  में 
 तेरा  अक्स  बनता  है ,
 मैं  उस  से  बात  करता  हूँ ,
 वोह  मुझ  से  बात  करता  है ,
 यह  लम्हा  बात  करने  का 
 बड़ा  अनमोल  होता  है ,
 तेरी  यादें , तेरी  बातें 
 बड़ा  माहौल  होता  है ….!!

You Might Also Like :

Back to Featured Articles on Logo Paperblog

These articles might interest you :