Magazine

Wifi Name Aur Password Kaise Change Kare

Posted on the 09 June 2021 by Technoharyana

Hello dosto aaj ke iss article mein hm janege ki aap apne wifi ka naam aur password kaise change kare bahut baar kya hota hai ki company wale khud default password aur name deke jate hai lekin aap sochte ho ki nhi yrr iska naam kuch aur rakhna hai to wo kaise rakhe whi sab aaj iss article mein btauga

Bahut hi asani ke sath aap apne wifi ka naam aur password change kar paoge aur apne wifi ki kuch detail bhi le paoge ki apko kisko network dena hai ki kisko block karna hai aur kya apki downloading speed chal rhi hai aur kya upload speed chal rhi hai ye sab bhi aap jankari le paoge to chaliye apko btate hai ki apko kya kuch karna hai

Wifi Ka Naam Aur Password Change Kaise Kare

To sabse phele apko kya karna hai ki jis phone mein apka wifi connection on hai uss phone ya laptop ya pc mein koi bhi browser open karna hai aur wha par apko search karna hai 192.168.o.1 ye apko type karke search kar dena hai to apke samne kuch ese result aayege

wifi name aur password change kaise kare

To apko sabse uppar wale par click kar dena hai fhir apke samne kuch esa interface aaye ga to apko 192.168.o.1 admin par click kar dena hai

wifi name aur password change kaise kare

Iss button par click karna hai fhir apka login page open ho jayega to apke samne show karega ki kitne connect ho rakhe hai wifi se aur kitni apki downloading speed hai aur kitni uploading speed hai

wifi name aur password change kaise kare

Fhir apko side mein kuch open show hoge jisme se apko wireless setting par click karna hai to apke samne apke wifi ka naam show hoga aur password show hoga to usko aap edit karke new name aur password set kar sakte ho

wifi name aur password change kaise kare

Conclusion

To bas dosto aaj ke post mein bas itna hi umeed karte hai ki apko hmara article pasand aaya hoga jisme hamne apko btaya ki wifi ka naam aur password kaise change kare agar apko pasand aaya ho to apne dosto ek sath bhi iss information ko share kare aur kuch puchna ho to comment section mein puch sakte ho to milte hai ese hi kisi new post ke sath tab tak ke liye jai hind jai bharat


Back to Featured Articles on Logo Paperblog