Magazine

Laptop Me Temporary File Delete Kaise Kare

Posted on the 25 May 2021 by Technoharyana

Hello dosto aaj hm apne article mein btayege ki laptop mein temporary file delete kaise kare agar aap ye file delete nhi karte hai to apka laptop pc ya apka system ki speed low ho jati hai jiss se apke system ki performance week ho jati hai

To aaj hm apne article mein isi ke baare mein janege tension mat lijiye ye apki koi bhi personal delete nhi hogi ye useless file ko remove karega

Chaliye ab apko btate hai ki kaise kya karna hai apne system mein se kaise temporary file ko remove karege

System Mein Se Temporary File Remove Kaise Kare

To sab se phele apko apne system ko open karna hai aur uske baad aap apne laptop ya pc mein run name se program hai usko open karna hai simple aap uski shortcut key bhi hai jis se aap open kar sakte hai to apko uske liye window button + R click karna hai to apke samne kuch esi window open hogi

laptop mein temporary file delete kaise kare

Isme apko type karna hai %temp% ye type karke apko run kar dena hai to apke samne bahut si files aa jayegi wo sabhi file apke system ke liye koi kaam ki nhi hai to apko sabhi ko select karke delete kar dena hai

Jitney bhi apki temporary file thi ab wo apke system se remove ho gyi hai to ese karke aap apne laptop ya pc mein temporary file ko remove kar sakte hai

Conclusion

To dosto aaj ke iss article mein bas itna hi umeed karte hai ki apko hmara article pasand aaya hoga aur apne dosto ke sath bhi share kare ki apne laptop ya pc mein se temporary file ko remove ya delete kaise kare to hm apko milte hai ese hi kisi new article ke sath tab tak ke liye jai hind jai bharat


Back to Featured Articles on Logo Paperblog