Magazine

Chunaavi Nautanki

Posted on the 24 April 2019 by Amit Kumar @buddymantra
Aao karein do-chaar fizool ki baatein..
Kahin mandir ke sapne, Kahin 70-72000 ke waade..
Kisiko shehzada kahein, uski khilli udaayein..Aur badlein me chowkidari me chor kehlaayein..
Kahin tukde karne walon ko neta banaye,Kahin aatankwadi ko sadhu batayein..
Kahin chaare ke ghotaale se, bhai-chaare ke ghotaale tak ka faasla tay karein..
Kahin cycle pe sawaar haathi na aaye, iska bhay karein..
Kahin sena ki bahaduri ko voton ke liye neelam karein..
Kahin 'khilaadi' se baat karein, saara din araam karein..
Kahin tamasha dekhein mazhab ke naam par bantwaare ka,
Kahin road show me chehra dekhein haath jode hatyaare ka..
Kahin baat baat me ye keh dein ki ab ki baar ho 400 paar..Par mann me hamesha ye sochein, kahin kissa hai bantwaare ka..
Kahin baap-bete ki uljhan me buaa ji ki chadhte taan sunein..
Kahin ek khiladi ki shikast ka, dilli me anumaan karein..
Kahin azaadi ki baaton me,Chhal-kapat ki thodi boo aaye..
Kahin balle balle yaari me,Pakistan ke aangan choo aaye..
Kahin topi jhaadu ke hausle,Ko maila hote dekhein..
Kise vote karein, wo kahan pade,ab kispe aetbaar karein.
Kahin yaad karein us dauur ka jab,logon ko neta bhaate the.Ab rakh ke hatheli me rupiye,woh log khareede jaate hain..
Ye yaad rahe, ye khel tamasha,Kuch saalon pe fir aayega..
Wo dost jo hai saath khada,Sukh dukh me wohi nibhaayega..
Ehsaas rahe in bakwaason me,Yaaron se na anban ko..
Netaon ko aane-jaane do,atoot tumhara bandhan ho..

Back to Featured Articles on Logo Paperblog