hello dosto aaj hm bat karne wale hai ki aap apne blog ki hosting kaise change kare ge ! ye jaruri bhi hai aur nhi bhi agar apki site par traffic increase hone lga hai ! to apko apni hosting change karni padti hai ! bahut baar esa hota ki apne khi se cheap hosting kharid li to apki site ko acha response nhi mil pata hai ! to chaliye aaj ka topic start karte hai
Namaskar dosto aap sabhi ka hmare blog par swagaat hai ! agar aap hmare blog par pheli baar aaye to ! mein bta du ki yha hm blogging se judi jankari share karte rhete hai ! agar aap unhe miss nhi karna chahte to hmare telegram channel ko join kare
Aksar dosto starting mein cheap webhosting le lete hai wo shi bhi hai ! kyoki unhe ye dar lagta hai ki khi paise invest kar diye aur return mein kuch milena to ! iss liye log cheap hosting le lete hai
Ek Web Hosting Se Dusri Web Hosting Par Kaise Jaye
To chaliye ab apko btate hai ki web hosting change kaise kare agar ! apke blog ka response kharb aane lag jata hai ! fhir apko hosting change karni padti hai ! hosting change karna bada hi muskil hai ! aap hmare iss article ko ache se follow karte hai to ye koi muskil kaam nhi hai ! but isko change karne se phele kuch kaam karna hota hai
Hosting Change Karne Se Phele Kya Kare
Apko jab hosting ke din khtam hone wale ho ! to apko kya karna hai ki apni jo purni hosting ka backup create kar lena hai wo kaise karna hai ! chaliye kuch step by step inko jaanege
Blog Ki File Ka Backup Kaise Save Kare
Step 1- sabse phele apko kya karna apni purni web hosting site par jana hai ! uske cpannel me login karna hai ! uske file manager me jana hai wha apko public_html ka folder milega jaha par apki site ka data store hota hai ye linux operatinng system ke liye hai ! fhir apko public_html pe right click karna hai ! compress ka option aaye ga wo apka zip file me download ho jayega aur use save kar lena hai
Note: Agar apka cpannel window os par hai to apko .htaccess ka folder milega usko compress karke zip file me convert karke download kar lena ha
ye karne ke baad apko apne my sql ka backup bnan hoga to chaliye ab apko btate hai ki ssl data base ka backup kaise bnaye
My Sql Data Base Ka Backup Kaise Banaye
jab aap file ka backup bnane ke baad aata hai ki aap apne my sql base ka data backup ! bana padega wo kaise bnana hai whi process apko apne file manager me jana hai !waha apke my sql data base ke liye backup manager par jaker mysql ko restore karna padega fhir apko backup ka option milega fhir usko download kar paoge
Agar aap apni pure blog ka sabhi chijo ka backup lena hai to ! to aap uski directory ka backup save karna hoga ! iss se plugin, comment sabhi apke new hosting par convert ho jayega kuch bhi bina delete hue
Ab apka purani hosting se kaam khtam ab apko new hosting ka kaam aata hai
New Cpannel Mein File Backup Kaise Upload Kare
Aap ne ab tak apni purani hosting ka kaam kar liya hoga uske file ka backup bna liya hoga aur my sql data base ka backup bna liyya hoga ! ab aate hai new hosting pe new hosting ke cpannel par login karna hai !
Step-1 Public html ko upload karne ke liye apne cpannel ke file manager me aana hai ! usme apko public_html ka folder milega usme apko kuch nhi karna hai ! fhir apko upar upload ka option milega aur jo zip file ko download kiya tha usko upload karna hai upload hone ke baad ! uss file ko extract karna hai aur jo folder aaye ge unko move karna hoga new public_html mein saare folder chale jayege
Step-2 iss baar apko apne my sql database ko restore karke backup ! ko upload karna hai iske liye apko backup wizard me jana hoga ! sabse phele restore pe click karna hai ! my sql database ko select karna hai aur backup upload karna hai
Note: isme apko ek baat ka dhyan rakhna hoga ki kisi glat file ko select nhi karna hai
Wp-Confi.php File Ko Modify Karna Hoga Aur Database Bnana Padega
Agar aap chahte hai ki koi problem face na karni pade to ye kaam ! apko karna padega ache se apki hosting run ho jaye new hosting pe apki site ya blog agar aap nhi chahte ki m ye change na karu to aap ! ek kaam aur bhi kar sakte hai wo kya hai ki apko apne file manager me jana hai publi_html folder ko ! open karna wha apko wp-confi.php ka folder milega to! uspe right click karke view par click karna hoga
fhir wha se apko apne db name aur db passoword ko copy karna hai aur apne backup wizard me chale jana hai ! waha apko mysql database pe click karna hai wha apko niche new database create ka option milega to wha par apko ! apna db name aur db password ko paste karna padega ! itna karnae ke baad apka bas baki rheta hai ki apke domain server ! wo apko change karne padega wo bhi jaan lete hai
DNS Domain Name Server Change Kaise Kare
ye hmara last step hai ki blog ki hosting kaise change kare ka final part dns change karna hai ab apko uske liye apko kya karna ! hosting jis company se li hai usne kuch domain name server provide karwaye hoge jaise kuch iss parkaar hote hai
ns1.hostgator.com
ns2.hostgator.com
ye ese apke pass mail aayega usme apko ye milege inko copy karna hai aur jaha se apne domain liya hai ! jaise godaddy ya big rock jaise company se unme login hona hai aur apko kya karna hai ! my product milega wha apko domain managment ka option milega waha! apko name server ka option hoga unko change karna hoga jo apko mail me mile hai! jinko apne copy kiya hai unko yaha apke paste karna hai phele wale delete karke
ese karke aap domain name server change kar sakte hai
Final Thought
bas dosto aaj ke liye itna hi umeed karte hai ki apko hmara yah article pasand aaya hoga jisme apne apko btaya ki kaise ek hosting se dursi hosting par kaise jaiye ki hosting kaise convert kare hosting kaise change kare comment karke jarur btaye ki apko hmara yha article apko kaisa lga aur apne dosto ke sath share karna na bhule to milte hai next topic ke sath tab tak ke liye jai hind jai bhart aur kuch puchna ho to comment box me puch sakte hai