Magazine

Audience Retention Kya Hai Kaise Increase Kare

Posted on the 24 December 2020 by Technoharyana

Hello dosto aaj ke iss post mein jange ki ! audience retention kya hai, kaise increase kare aur audience rentention kaise check kare ! iski madat se aap apni video ka watch time increase kaise karoge ki apki video ! ka watch time increase ho aur ye apki video ko viral karne mein madat karta hai to ! chaliye aaj ke article mein iss topic ko complete karte hai ki ! audience retention kya hota hai

To dosto agar aap youtube par naaye naye aaye hai ! to iske bare mein nhi pta hoga lekin apko bta du ki ye apki bahut kuch karne mein ! madat karta hai iss se apki video ke views increase hoge aur apki videos ka ! watch time increase hoge to sab kuch iske upar depend karta hai agar aap ek youtuber hai ! to iss topic ka apko pta hona chaiye ki kya hai ye kaise increase karni hoti hai ! aur kaise check kare ye teeno points aaj hm apne article mein complete karege

Audience Retention Kya Hai

Dosto ye hota hai ki jab koi apki videos par aaya ! aur wo apki video ko kitne der tak watch karta hai to aap smjh gye hoge ki koi user apki video dekh rha hai ! to wo kitne der tak apki video par ruka iske upar youtube ka algorithum kaam karta hai ! ki jab apki ye chij achi hogi to youtube khud mai khud apki ! videos ko promote karega aur agar apki audience retention kam hogi to ye apke liye thik nhi hai

Wase ye apki audience retention jo hai wo 20%se kam nhi ! honi chaiye jab jake apki videos ko youtube suggested videos mein show karega kisi ! ke browser page par show karega to aap ab tak smjh gye ho gye hoge ki jab koi ! audience aaya apki video par to wo kitne time apki video par ruke to ye to apko ! smjh aa gya ab jante hai ki isko increase kaise kare

Audience Retention Kaise Increase Kare

To dosto isko increase karne ke liye kuch points ko ! dhyan mein rakhna hoga ye nhi hai ki aap ko koi formula milega jo ki aap apply ! kar doge to apki video ki audience retention increase ho jayegi to chaliye iske ek ! ek karke points ko discuss karte hai

Video Ki Quality Achi Ho

To dosto jab aap video ko record kar rhe hai ya to aap face cam kar rhe ho to apki video quality achi honi chaiye agar apki video quality poor hogi to apki audience ko mja nhi aayega aur wo apki videos par nhi rukegi to isko apko dhyan rakhna hai chaye aap facecam kar rhe ho ya fhir aap screen record kar rhe ho lekin apki video ki quality achi honi chaiye ye apki bahut had tak madat karega ye to aata hai video ki baat

Audio Ki Quality Ki Achi Rakho

Jab aap koi videos record kar rhe ho to uski audio pe utna hi dhyan dena hai jitna aap video ki quality mein de rhe ho kyu ki apki audience ko ache se dikhai aur sunai dena chaiye jab jake apki audience apki video par rukegi warna to wo apki videos ko whi rok dege aur koi video play kar lege aur apka khel khtam fhir to apko ye check karna hai ki koi background mein koi awaj to nhi aa rhi hai apki mic ya earphone ki koi sound to nhi aa rhi hai to apko iska bhi dhyan rakhna hai

Point To Point Baat Kare

Apko jyada faltu kuch bhi nhi btana hai apko apne topic ko chod ke kisi dusre topic ko uske undar nhi leke aana hai bas apko whi chij btani hai jo ki hai actual mein to apko point to point baat karni hai taki apki audience ko pasand aaye aur uss point to point se apko bahut kuch madat milegi

Ek to apki audience ko lage ga ki ye actual mein baat karte hai to wo uss topic se related apke channel ko prefer karega auro ka nhi to iske sath sath apke views bhi increase hoge watch time bhi to dosto ek kaam apko apni video shoot karte time dhyan rakhna hai

Lengthy Video Nhi Banani Hai

Agar aap ek baar new new youtube pe hai aur apke pass abhi koi audience nhi hai to apko jyada lengthy video shoot nhi karni hai jitna ho sake aap chotti videos shoot kar pao jab apki khud ki audience built ho jaye jab aap jitna ho sake lengthy video bna sakte ho fhir apko koi problem nhi hogi kyu ki apke subscriber uss video ko jarur dekhege lekin ek new subscriber apki wo video watch nhi karega wo ye sochega ki jitna ho sake kam time mein mujhe samjh mein aaye to apko lambi video shoot nhi karni hai jab aap new hai youtube pe kuch time ke baad aap lambi video shoot kar sakte ho

Audience Retention Kaise Check Kare

To dosto iske liye apko kuch points btauga jo ! ki apko follow karne hai to aap bhi uski madat se audience retention ko check kar sakte ho

  • Sabse phele apko kya karna hai apne phone mein yt studio download karna hai
  • Playstore par apko mil jayega
  • Jis mail se apka account hai usko select karke login kar lena hai
  • Fhir apko jis video ki audience retention check karni hai
  • Uss par click kare
  • Fhir wha apko go to video analytics ka option milega uss par click kare
audience retention kya hai
  • Wha apko audience retention show hoga
audience retention kya hai

Ese karke aap apni kisi bhi video ki audience retention check kar sakte ho

Conclusion

To bas dosto aaj ke liye bas itna hi ! umeed karte hai ki apko hamar article pasand aaya hoga jisme hamne apko btaya ! ki audience retention kya hai aur audience retention kaise increase kare, audience retention kaise check kare apne dosto ke sath jarur share kare kuch problem ho to aap comment section mein puch sakte ho bas hmm milege ese hi kisi new post ke sath tab tak ke liye jai hind jai bharat


Back to Featured Articles on Logo Paperblog