Haan main buri hu
Par mere burai se
Agar dus aur log achche ban jaye
To main buri hi sahi
Haan main jhooti hu
Par mere jhoot se
Agar dus aur log sachai ke rah chale
To mai jhooti hi sahi
Kabhi kabhi sochti hu
Kitni darpok hu mai
Phir lagta hai mere darpok hone se
Agar dus aur logon me himmat aa jaye
To mai darpok hi sahi
Phir sochti hun kitni kamzor hu mai
Par ab lagta hai mere kamzori se
Agar dus aur logon me taqat aa jaye
To mai kamzor hi sahi
Raato me jag jati hu ye sochke ki kitni lalchi hu mai
Par phir sochti hu ki meri ye lalach
Agar dus aur logon ko tyagi bana de
To main lalchi hi sahi
Har din samajhne lagi hoo Kitne tute-fute rishtey hai mere
Par pata hai, ye bhi samajhne lag gayi ke agar is tute-fute rishton se
Agar dus aur logon ke rishtey majboot ho raha hai
To ye tute-fute rishtey hi sahi
Kabhi kabhi lagta hai ki kitni khamiyan hai mujhme
Par phir lagta hai is khamiyon se
Agar dus aur logo ki hunar badh jaye
To mere ye Khamiyan hi sahi
Ab to lagta hai ki rooh hi mar gayi hai meri
Par sach batau to sochti hu ki ye mari hui rooh
Agar dus aur logon ki rooh ko jagaa de
To ye mari hui rooh hi sahi
Haan main paapi hu
Par mere paap se
Agar dus aur log punya kamaa le
To mai paapi hi sahi!!