Time Ko Apne Phone Ka Password Banaye

Posted on the 06 December 2020 by Technoharyana

Hello dosto aaj hm jange ki ek esi application jo ki apke time ko hi password set kar dega time password kaise lagaye yani har minute ke baad apka password change hota rhega isme aap apni photo video wagera safe rakh sakte hai to aaj hm iss article mein jange to chaliye start karte hai aaj ka article ka

Namskar dosto mera naam rajat garhwal aur aap sabhi ka hmare blog par swagaat hai agar aap pheli baar aaye hai to bta du ki yaha par hm tech se judi jankari share karte rhete hai agar aap unhe miss nhi karna chahte to hmare telegram channel ko join kare

To dosto bahut baar kya hota hai ki jab aap password ko khol rhe hote hai tab kisi ne dekh liya to aap tension free rho kyu ki usko kya pta hoga ki apka password har minute change hota rhega to chaliye iss application ka naam kya hai kaise download karni hai

Time Password Kaise Lagaye

Isko kuch points ke thorough apko smjhate hai usme apko ache se smjh aaye ga

  • Sabse phele apko kya karna hai ki
  • Apne play store par jana hai
  • Wha search karna hai
  • Time password dalna hai aur jo sabse upar wali application aayegi
  • Usko download kar lena hai
  • Jiska logo esa hoga
  • Download hote hi open kar lena hai
  • Kuch permission aap se lega to sabko allow kar deni hai
  • Upar hi apko enable lock ka option show hoga
  • Enable kar lena hai
  • Ab jab bhi aap iss application ko open karoge
  • Tab ye password dalne ko bolega
  • Password apka time hi hoga

Conclusion

To bas dosto aaj ke liye bas itna hi umeed karte hai ki apko hamra article pasand aaya hoga jisme hamne apko btaya hai ki kaise aap apne privacy ke liye time password kaise lagaye to apne dosto ke sath share jarur kare agar apko pasand aaya ho to kuch problem aaye to hamne comment section mein puch sakte hai milte hai ese hi kisi new post ke sath tab tak ke liye jai hind jai bharat