Job Ke Liye Resume Kaise Banaye

Posted on the 09 December 2020 by Technoharyana

Resume kaise banaye ye aaj ke article mein jange aaj ke time mein kya hota hai ki bahut si esi company hoti hai ya koi aap online kaam karna chahte ho to wo company apko bolti hai ki aap apna resume bna ke hamre pass send karo to isme bahut badi dikat hoti hai to aap apne mobile se resume bna sakte ho aur kisi ke pass bhi send kar sakte ho to chaliye aaj ka article start karte hai

Namskar dosto mera naam rajat garhwal aur aap sabhi ka hamre blog par swagaat hai agar aap pheli baar aaye hai to bta du ki yaha par hm tech se judi jankari share karte rhete hai agar aap unhe miss nhi karna chahte to hmare telegram channel ko join kar sakte hai

Dosto bahut baar kya hota hai hm apna kaam aur college aur degree ko ache se mention nhi kar pate hai aur wo hmari job mein dikaat deta hai aur mna bhi kar deti hai kuch company uske piche ka karan yhi hota hai ki apka khrab resume wase to aap computer aur mobile phone se dono se resume bna sakte ho lekin phone se resume bana bahut aasan hai kyu ki usme kuch jyada difficult nhi hota hai

Apka jo resume hota hai wo company ka HR(Human Resource) dekhta hai aur apka resume dekh kar hi wo apko interview ke liye bhulaya jaye ya nhi whi decide karta hai jab apka resume dekh ke hi wo apko reject kar dega to apke pass dimag kitna bhi ho koi fark nhi padta hai isliye apka resume ke liye kuch bato ka dhyan mein rakhna bahut jaruri hai wo jan lete hai phele

Resume Banan Se Phele Kya Dhyan Mein Rakhe

  • Sabse phele kya karna hai ki apko uss job ke bare mein pura ache se padh lena hai ki kya kya chij mangi gyi hai yani ki kya skills mangi gyi aur kya kya requirements hai jab aap description likho to apko dhyan mein rhe ki wo apke sath match ho rhi hai ya nhi
  • Khi par bhi apko short form ka use nhi karna hai man lijiye apki university ka naam likh diya aur wo apne short form mein likh diya to usko kya pta hoga apki university ke bare mein agar aap koi regional university se degree hui to usme apko full name mention karna hai
  • Aap jo bhi resume ke undar word likh rhe ho unki size apko dhyan rakhna hai ki padhne wale ko aasani ho aur unka font style thik ho smjh aaye esa apko apne resume ke font style aur size ka dhyan rakhna hai
  • Resume mein apko kabhi bhi esi baat nhi likhni hai ki wo apki weakness ko show kare
  • Apko apne resume ke copy paste nhi karna hai ki usne likh rakha hai to mai bhi esa hi likh du

To bas yhi thi kuch bate jo apko resume bnate time apko dhyan rakhni hai ! ab apko btate hai finally ki resume bnate kaise hai

Mobile Se Resume Kaise Banaye

  • Sabse phele apko kya karna hai ki play store par jana hai
  • Aur ek application ko download karna hai
  • Resume likh ke search kar dena hai
  • Sab se upar ki traf aaye ga resume builder wo apko download kar lena hai
  • Jaise hi aap download kar lete hai usko open karna hai
  • Wha apko create ka option show hoga
  • Apke samne kuch option aaye ge profile ke education ke
  • Sab kuch daal ke apko kya karna hai ki niche
  • View cv karke aaye ga
  • Uss par click karna hai
  • Wha apko kuch template show karega jonsa apko thik lage usko select kar lena hai
  • Aur download ka option aaye ga apko download kar lena hai
  • Fhir aap usko share kar sakte hai ya fhir aap upload kar sakte hai

Ye to tha ki aap phone se resume kaise banaye ! lekin ab hm janege ki aap computer se resume kaise banaye

Computer Se Resume Kaise Banaye

Isme kuch lamba process hai to chaliye btate hai isme bhi apko kya karna hai

Sabse phele apko kya karna hai ki apne computer mein MS Word Open karna hai

FILE ke upar click karna hai

Aur new select par click karna hai wha par apko ! bahut se option show hoge usme se apko resume ko select kar lena hai

Usme se ek template ko choose kar lena hai

Ab apka jo paper size wager uss template ke size mein open ho jayega

Wha apko click other documents ka option show hoga uss par click karna hai ! wha apko resume wizard option show hoga uss par click karna hai ! aur next par click kar dena hai

Fhir apko resume style aur size puchega wo apko fill kar dena hai ! aur kuch missing information fill karne ke bolega personal education wagera sabhi ! fill karne ke baad jo jo apko main heading wagera select karni hai ! jaise ki resume ko main heading bna di ! apki jo aur options hai personal education etc inko additional heading select kar li ! itna karne ke baad apko save kar dena hai ! aur print out kar lena hai

Conclusion

To bas dosto ese karke aap resume bna sakte ! ho to dosto aaj ke article mein hamne jana ki ! resume kaise banaye apne mobile phone se computer mein resume kaise banaye ! resume banane se phele kya ! baate dhayan rakhe to apke dimag mein sab kuch clear ho gya hoga agar koi ! problem ho to aap comment section mein puch sakte hai to bas aaj ke liye bas itna hi ! apne dosto ke sath share jarur kare aur milte hai ese hi kisi new post ke sath tab tak ! ke liye jai hind jai bharat