Gmail Me Recovery Mail Aur Number Kaise Add Kare

Posted on the 18 January 2021 by Technoharyana

Hello dosto aaj ke iss article mein hm janege ki ! google account mein recovery mai aur number kaise add kare jis se aap mail ! ka password bhul jao to uss mail aur number pe otp aake uske mail ke password ko ! change kar pao to ye aaj ka topic hai hamara to chaliye topic start karte hai

Jaise aap apne google account mein mail par 2step verification set karte ho ! wase hi recovery mail ya number hona bahut jaruri hai to mane bta bhi diya ki upar ! ki recovery mail aur number dalne se kya fayda hota hai ki aap apni ! mail ka password bhulne ke baad usko aasani ke sath change kar sakte hai warna to ! ye kaam nhi kar paoge

To iss liye recovery mail aur phone number iss mein se ! ek ka hona bahut jaruri hota hai ye ek safe security bhi hai apni mail ki jo ki bahut kam logo ! ko pta hogi ki apne apne recovery mail ya number konsa dala hai agar wo ! forget password karke password change karte hai to sabse phele mail ki baat karte hai ! fhir phone number ki baat karege

Google Account Mein Recovery Mail Kaise Add Kare

To dosto niche kuch steps btaye hue hai jinko apko follow karna hai ! jis se aap apne google account mein recovery mail add kar sakte  ho

  1. Sabse phele apko apne phone ya pc mein gmail account ko login kar lena hai
  2. Aur gmail profile photo par click karna hai
  3. Uske baad apko my account par click karna hai
  4. My account par aap jaise hi click karte ho tab apko wha par Sign in And Security ka option show hoga
  5. Uss par click karna hai
  6. Page ko scroll down karna hai aur wha par apko account recovery ka option milega
  7. Uss par click karna hai
  8. Ab wha apko recovery mail ka option show hoga uss par click karna hai aur wha security ke liye apni mail ka password fill karne ko bolega
  9. Password fill karne ke baad next par click kar dena hai
  10. Fhir apko recovery mail fill karne ko bolega fill karne ke baad done par click kar dena hai

Iss tarhe aap google account mein recovery mail add kar sakte hai ! ab apko btate hai ki phone number kaise add kare

Google Account Mein Recovery Phone Number Kaise Add Kare

  1. Sabse phele apko apne phone ya pc/laptop mein apni gmail ko open karna hai
  2. Apni mail ke sath sign in kar lena hai
  3. Fhir wha apko right side mein profile icon show hoga
  4. Uss par click karna hai
  5. Wha apko my account par click karna hai
  6. My account par click karne ke baad apko wha Sign in And Security ka option show hoga uss par click karna hai
  7. Page ko scroll down karna hai wha apko Account Recovery ka option show hoga uss par click karna hai
  8. Wha apko Recovery Phone par click karna hai
  9. Security purpose ke liye wo password fill karne ko bolege
  10. To apko password fill karne ke baad next par click karne ko bolege
  11. Fhir apko Recovery Phone Number fill karne ko bolega wo fill karne ke baad
  12. Done par click kar dena hai

Iss tarhe aap google account mein recovery mobile number add kar sakte hai

Conclusion

To bas dosto aaj ke liye bas itna hi umeed karte hai ! ki apko hmara article pasand aaya hoga jisme hamne apko btaya ki ! google account mein recovery mail aur number kaise add kare apne dosto ! ke sath share aur kuch problem aaye to comment section mein puch sakte hai to ! hm milege apko ese hi kisi new post ke sath tab tak ke liye jai hind jai bharat