Art & Design Magazine

Prerna – Ii

By Colloquial Wordsmiths

Uski aankhon ki gehrayion mein

Shyamein bitane ko ji chahta hai .

Uske mathe par ayi bikhri zulfon ko ,

Apne haathon mein ulkhane ko jee karta.

Guzarti har saans meri,

Uski duaon de kar jaati hai.

Hawa jo nikle chhu kr jaye mujhse,

Uske kaano mein meri ankahi baatein keh jaati.

Jab bhi kehti hai kuchh mujhse,

To uski baton mein sur sunai de jaate hain.

Jaise uske har lafz ko,

Mere labh chhu kar nikal jaate hain.

Nazar hatana chahun bhi usse,

To nazariye mein wahi rehti hai.

Meri nazmon mein naam aur Kahayan anek hain

Par har nazm ki PRERNA wo ban jaati hai.

Dikhati hai befikri har baat par,

Par har baat ki fikar wo karti hai.

Rehti hai door, ki rishton ki sui chubh na jaye,

Andar hi andar har rishte ko dor mein piroti hai

Hai saral bilkul,

Jaise auron se alag wo rehti hai.

Khi jaati hai khud ki buni kahaniyon mein kahin,

Jahan pari ban ke wo rehti hai.

Un hamesha nam rehti aankhon mein,

Kahin dard ko bhi mithas mein sahej ke wo rakhti hai.

Is bejaan duniya mein to ek thikana hai uska,

par in duaon ki jaan hai isse anjaan wo baithi hai.

Haan lagta hai jaise khwab hai koi,

Par wo to meri kalpana ki haqeeqat lagti hai.

Ishq hai mujhe usse ya fittor koi purana hai,

Hai PRERNA wahi ya ye mera fasana hai?

-AMBER REYANSH MISHRA


Back to Featured Articles on Logo Paperblog

Magazine