Art & Design Magazine

Prerna

By Colloquial Wordsmiths

Aksar apne yaaron ko chhor,

uski ek nazar paane chala jaata hun.

Roz mulakaat chhoti hoti hai,

Par shayad zindagi bhar ki yaad ki chadar odh lata hun.

.

Waise to badi shaant si hai wo,

Par uski naadaniyon par pyaar aata hai.

Dosti dikhati nahin hai gehri

Par har dukh dard mein mere use baat karne ko ji chahta hai.

.

ab tak khud anjaan hun khudse mein,

Par usko jaane ko jee chahta hai.

Ek baar fir girwi rakh is dil ko,

Ishq ki haveli mein dastak dene ko jee chahta hai.

.

Hai us beeti sham si wo,

Jo sehar ka waqt yaad dilate hai.

Jo reh gaye purane toote rishtey,

Un rishton ki saundhi si mehak wo laati hai.

.

Ek kashish hai uski chehre par,

Uski to aankhen bhi muskaati hain.

Hai kabhi bholi aur nadaan si wo,

Kabhi mujhe mujhse zyada samjh jati hai.

.

Mere liye meri “prerna” hai wo,

Meri khwabon ki haqeeqat si ban jaati hai.

Ho qayamat ke roz deedar uska,

Yahi khayal dua me aata hai.

.

-AMBER MISHRA


Back to Featured Articles on Logo Paperblog

Magazine